Showing posts with label Sad poetry of Mery Ban jao. Show all posts
Showing posts with label Sad poetry of Mery Ban jao. Show all posts

Saturday, September 9, 2017

Ghair to kia apny bhi

Gair To Kiya Apny Liye Bhi Bekaar Howe Hum Ek Khaar K Liye Bhi Boht Khawaar Howe Ham,

Jab Waeran Sabza Zaar Main Ek Phool Aa gaya To kehne Lage Sabhi Raqeeb Khazan Dar Howe Ham,

Yeh Shekwe Shekayten Nahi Ahwaal Hai Mera Ab Anjaan Hain Jin K Liye Dildaar Howe Ham,

Afsos k is Ne Wafa Ka Paas Na Rakha Jis K Liye Khud Se Bhi Gaddaar Howe Ham.

Wednesday, May 3, 2017

Ek shab e mehtab se bhaghty phirty hain

Ek Shab-e-Mehtab Se Bhagtay Phirtay Hain
Ham Kiun Apnay Aap Se Bhagtay Phirtay Hain
Pyas Ki Shidat Honton Ki Taqdir Howi Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhagtay Phirtay Hain
Sham Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain Ham Apnay Ehbaab Se Bhagtay Phirtay Hain
Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai Aur Safaid Gulaab Se Bhagtay Phirtay Hain
Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Hathon Mein Aur Zar-o-Asbaab Se Bhagtay Phirtay Hain
Unhain Kisi Taabeer Ki Khwahish Kia Hogi... Loog Jo arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Aankhon Mein BeTaab Samandar Hai Phir Bhi Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain.

Mery Ban Jao.

Tum Udaas Ho

Tum udaas ho?

Rat ko chand taron se batain mat kiya karo,

Pholon ko dekh kar mat chonka karo,
koi tbiyat ka pochy to mosam
ky bary me mat btaya karo,

Kaghaz par aarhi trchi lakerain mat khncha karo.....

Warna log khain gy tum udaas ho.

(Fakhira Batool)

Mery Ban Jao

Saturday, October 29, 2016

Best Urdu two line poetry

Waqat tezi se badal gya
Or Tum waqt se bhi tez nikly

Merybanjao

mila Tha ik dill jo tum ko dy dia
Hazaron bhi hoty to tery liye hoty

Merybanjao

Tum yad nhi karty to hum gila ku krain
Khamoshi bhi to ik ada he muhabat nibhany ki

Merybanjao

ADS