Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts

Saturday, September 2, 2017

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta

mohsin naqvi poetry images mohsin naqvi shayari in hindi mohsin naqvi poetry books free download pdf mohsin shayari 2 line best mohsin naqvi mohsin naqvi islamic poetry barish poetry by mohsin naqvi mohsin naqvi urdu poetry wallpapers mujhe ab dar nahi lagta sms mujhe ab farq nahi parta mujhe dar lagta hai poetry kisi ke door jane se mohabbat kam nahi hoti mujhe ab dar nahi lagta lyrics mujhe ab dar nahi lagta lyrics in urdu mujhe acha nahi lagta poetry mujhe ab dar nahi lagta rekhta
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta 
Kisi Ke Door Jane Se 
Taluq Toot Jane Se 
Kisi K Maan Jane Se 
Kisi K Rooth Jane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta 
Kisi Ko Aazmane Se 
Kisi K Aazmane Se 
Kisi Ko Yaad Karne Se 
Kisi Ko Bhool Jane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta 
Kisi Ko Chor Dene Se 
Kisi K Chor Jane Se 
Na Samaa Jalane Se 
Na Sama Bujhane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta 
Akele Muskurane Se 
Kabhi Aansu Bahane Se 
Na Is Sare Zamane Se 
Haqeeqat Se Fasane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta 
Kisi Ki NaRasai Se 
Kisi K Parsai Se 
Kisi Ki Bewafai Se 
Kisi Dukh Intehai Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta 
Na To Is Paar Rehne Se 
Na To Us Paar Rehne Se 
Na Apni Zindagani Se 
Na Ik Din Maut Aane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta

Thursday, August 31, 2017

Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon


















Agar'chay mein ik chattaan sa aadmi raha hoon
Magar teray baad hosla hai keh jee raha hoon

Woh raiza raiza meray badan men utar raha hai
Mein qatra qatra uski aankhon ko pii raha hoon

Teri hatheli pay kis nay likha hai qatal mera
Mujhay to lagta hai mein tera dost bhi raha hoon

Khuli hain aankhen magar badan hai tamaam pathar
Koi bataaye mein mar chuka hoon keh jee raha hoon

Kahaan milay gi misaal meri sitam'gari ki
Keh mein gulaabon kay zakhm kaanton say sii raha hoon

Na pooch mujh say keh shehar waalon ka haal kaya tha
Keh mein to khud apnay ghar men do gharri raha hoon

Mila to beetay dino'n ka sach uski aankhon men tha
Woh aashna jis say muddaton ajnabi raha hoon

Bhula day mujh ko keh be'wafaaii bja hai lekin
Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon

Woh ajnabi ban kay ab milay bhi to kaya hai Mohsin
Yeh naaz kam hai keh mein bhi kabhi us ka raha hoon

ADS