Showing posts with label Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Ghazals. Show all posts

Thursday, August 31, 2017

Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon


















Agar'chay mein ik chattaan sa aadmi raha hoon
Magar teray baad hosla hai keh jee raha hoon

Woh raiza raiza meray badan men utar raha hai
Mein qatra qatra uski aankhon ko pii raha hoon

Teri hatheli pay kis nay likha hai qatal mera
Mujhay to lagta hai mein tera dost bhi raha hoon

Khuli hain aankhen magar badan hai tamaam pathar
Koi bataaye mein mar chuka hoon keh jee raha hoon

Kahaan milay gi misaal meri sitam'gari ki
Keh mein gulaabon kay zakhm kaanton say sii raha hoon

Na pooch mujh say keh shehar waalon ka haal kaya tha
Keh mein to khud apnay ghar men do gharri raha hoon

Mila to beetay dino'n ka sach uski aankhon men tha
Woh aashna jis say muddaton ajnabi raha hoon

Bhula day mujh ko keh be'wafaaii bja hai lekin
Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon

Woh ajnabi ban kay ab milay bhi to kaya hai Mohsin
Yeh naaz kam hai keh mein bhi kabhi us ka raha hoon

Monday, May 8, 2017














Milay kab thay hum kisi morr per Na usay khabar Na mujhay khabar,
Keh khayal-o-khwaab ka tha saafr Na usay khabar Na mujhay khabar.

Na wo aas men Na gumaan men Na salam tha Na payaam tha,
Kisay kis nay dekha tha chonk kar Na usay khabar Na mujhay khabar.

Dar-e-dil pey naram si dastaken kisay roktay kisay tok'tay, 
Wo mehak thi jaan men gaii utar Na usay khabar Na mujhay khabar.

Kabh us kay seenay men mera dil Bara naatwaan Bara muzmahil,
Meray rukh pey us ki hy chashm'e tar Na usay khabar Na mujhay khabar. 

Dil'e muztarib rahen kab talak kisi bey khabar kay khayaal men,
Kisay dhoondtay rahen umr bhar Na usy khabar Na mujhay khabar.

Kabhi kho gaye sabhi raastay kabhi raaston say palat gaye,
Kahan us ka ghar kahan mera ghar Na usay khabar Na mujhay khabar.

Thay nazar men ajnabi raastay to yeh kaisay aa gaya yak'ba'yak, 
Sar-e-raah chahaton ka nagar Na usay khabar Na mujhay khabar..

Tuesday, May 2, 2017

Ishq hamara paisha thehra aashiquee apni zaat huii
















Aaj hamari aankhon say phir ashkon ki barsaat huii
Ghir aayee phir say taareeki jeeven men phir raat huii

Hum ko to jis jis nay dekha bola pagal deewana
Ishq hamara paisha thehra aashiquee apni zaat huii


Bikhri teray pyar ki khushbu joon'he hum nay mondi aankhen
Hotay hotay neend hamari yaadon ki baraat huii

Hum say bhi rakhtay ho rishta fikr bhi tum ko auron ki
Chaahat men bhi duniya'daari khud socho kaya baat huii

Sapnay jeetay aankhen haareen dil jeeta aur dharkan haaray
Baazi apnay haath men thi par man'marzi say maat huii

Daal diye darya men ghoray aag laga di kashti ko
Haath men jis kay suraj qismat us kay saath huii

Monday, March 13, 2017

Usay Bhula Kay Bhi Yaadon Kay Silsilay Na Gaye


















Usay Bhula Kay Bhi Yaadon Kay Silsilay Na Gaye,
Dil-e-Tabah Teray Un Say Raabtay Na Gaye,

Kitab-e-zeest Kay Unwaan Badal Gaye Lekin,
Nisaab-e-Jaan Say kabhi Uss kay Tazkaray Na Gaye,

Main Chand Aur Sitaaron Kay Geet Gaata Raha,
Aur Meray He Ghar Say Andheron Kay Qafilay Na Gaye.

Tuesday, November 22, 2016

Kitni pyasi hain yeh banjar aankhen










Munjamid khoon men halchal kar day
Mujh ko choo aur mukammal kar day

Kitni pyasi hain yeh banjar aankhen
Abar zaaday inhen jal thal kar day

Mein nay woh dard chupa rakha hai
Jo teray husn ko pagal kar day

Saray insaan hi wehshi hain to phir
Iss bharay shehar ko jangal kar day

Ay jhulastay huay jismon kay khuda
Jaldi dopehar pay baadal kar day

Khusboo aayee hai to lotay na kabhi
Ab hawa ko bhi koi shal kar day

Ya mujhay wasl ataa kar maalik
Ya mera hijr mukammal kar day

Wednesday, September 21, 2016

Samjhay thay dosron say bohat mukhtalif tujhay















Kesay kahen keh jaan say pyaara nahin raha 
Yeh aur baat ab woh hamara nahin raha

Aansoo teray bhi khushk huway aur meray bhi
Namm ab kisi nadi ka kinara nahin raha

Kuch din tumharay laut kay aanay ki aas thi 
Phir is umeed ka bhi sahara nahin raha

Rastay meh-o-najoom kay tabdeel ho gaye 
In khirkiyon men aik bhi taara nahin raha

Samjhay thay dosron say bohat mukhtalif tujhay
Kaya maan lain keh tu bhi hamara nahin raha

Haathon pay bujh gayee hai muqaddar ki kehkashaan 
Ya raakh ho gaya woh sitara nahin raha

Tum Aamir is kay liyee udaas kyun ho 
Aik shakhs jo khabhi bhi tumhara nahin raha

Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahaani Aaii














Thehri Thehri Si Tabiyat Men Rawaani Aaii, 
Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahaani Aaii.

Aaj Phir Neend Ko Aankho'n Say Bichartay Dekha, 
Aaj Phir Yaad Koi Choat Puraani Aaii.

Muddato'n Baad Un Pay ChaLa Hamaara Jaadu, 
Muddato'n Baad Humain Baat Banaa'ni Aaii.

Muddato'n Baad Pashemaan Huwa Darya Hum Par,
Muddato'n Baad Humain Pyaas Chupaani Aaii.

Muddato'n Baad KhuLi Wus'at-e-Sehraa Hum Par, 
Muddato'n Baad Humain Khaak Urraani Aaii.

Itni Aasani Say Nahi MiLti Fun Ki DoLat, 
DhaL Gai Umr Tau GhazLo'n Pay Jawaani Aai.

Saturday, December 29, 2012

Diye Ki Tarah Main Jalaya Gaya Hon | Ek Pagli Larki

Ek Pagli Larki

Diye Ki Tarah Main Jalaya Gaya Hon..
Muhabbat Main Aise Sataya Gaya Hon..

Main Kaise Sajaon Tabassum Labon Par..
Ke Mahfil Se Inn Ke Uthaya Gaya Hon..

Thama Kar  Mera Dil Mere Hath Hi Main..
Khiloona Bana Kar   Behlaya Gaya Hon..

Khushi Cheen Kar Mere Dil Ki Yahan Par..
Main Pal Pal Youn Hi Bas Rulaya Gaya Hon..
 
Ek Pagli Larki ???e? pa?la lar?a???


  __________?? "ShaBi" ??__________

Sunday, December 23, 2012

Buhat Toote Howe Hain Hum Abhi Dastak Nahi Dena | Ek Pagli Larki

Ek Pagli Larki

 Buhat Toote Howe Hain Hum Abhi Dastak Nahi Dena..
Hamaari Aankh Hai Purnam Abhi Dastak Nahi Dena..

Mere Yaroon Abhi Kuch Din Mera Ahwaal Mat Pucho..
Abhi Hai Dil Main Usska Gham Abhi Dastak Nahi Dena..

Shab e Tanhai Main Yaroon Tarpna Hai Buhat Mujh Ko..
Abhi Hai Dard Kuch Madham Abhi Dastak Nahi Dena..

 
Ek Pagli Larki ???e? pa?la lar?a???


  __________?? "ShaBi" ??__________

Monday, December 3, 2012

ADS